Sunday 10 March 2013

Jism e Misali AURA


Bemari udasi ya depression zindagi me tarah tarah ki rukawaten bechani ,iztrab.ghutan .ghabrahat gerz key pareshaniyo key jis qader bhi rop or rang hen.us ki bunyadi waja jisim e misali ya aura ka sahi na hona ya aura me mojod chakras me kasafato key anbar hoty hen.Aura ko insan ka double bhi kehty hen.ya nori jisim bhi kaha jata hey.mazeed bhi is
key boht se or nam hen.
insani jisim key sath jo roh ka pert sab se pehly jura ya chipka hoa hoata hey.wo aura hi hota hey.yani roh se aney wali her tawanai pehly aura tak ati hey.phir jisim tak ati hey.lekin ager aura ki halat sahi na ho ya aura kamzor ho to ye aney wali tawanai ko sahi tor wusol nahi ker pata.jab key jisim insani key leye zehani jismani sehat key leye in tawanaiyo ka baham mutawatir jisim tak rasta clear hona zerori hey.werna aney wali tawanaya jo roh se her pal arahi hoti hen.aura key kamzor honey key sabab zaya hona shuro ho jati hen.or ye bunyadi ek waja hoti hey.bemari ya depression ki.jo nazer nahi ati .lekin ek atal haqeqat hey.ek sawal ye hey key jismani ya zehani sehat key hawaley se aura key kamzor honey ki waja samajh ati hey.lekin baqi zindagi key mamlat me ye kis tarah rukawat banta hey.ager ek shakhs musalsal bemar hey,ya depression me hey.to esa shakhs ye bat achi tarah janta hey key in wujohat ki bina per kis tarah tezi se us ki salahiyato ko zang lagna shuro ho jata hey.
dosri waja zindagi key deger kamo me nakami ki ye hey.key her insan ko sirf sehat key leye roh se tawanai nahi chaheye hoti.bal key roh ki ye tawanaeya insan key sabhi kamo me us ki madad kerti hen.ye tawanai be panha zahanat apney ander rakhti he.
ek dosra sawal ye hey key aura ko kis tarah mazbot kiya jaey key ye sahi manio me roh se hama waqt aney wali tawanai ko hasil kerney key qabil ho jaey.ya aura sahi manio me goya bedar ho jaey.is sawal ka ek wazhey matlab ye samney araha hey key goya aura ki bhi koi giza hey.jis key bal per ye na sirf bedar hona shuro ker deta hey.bal key key inthai tawana or taqatwer hona shuro ho jata hey.
is ka jawab ye hi hey key ji bilkul aura ki giza bhi hey.jo esy ek tawel arsey na dejaey.to ye jis shakhs key jisim ka hisa hota hey,us se bemareyo or nakamiyo ki sorat me goya apny bhoka rakhney ka badla zeror le leta hey.
islam ney jo namaz ,roza ,or tilawat e quran ki terghib de hey.in se bila shuba hoqoq e abdeyat ada hoty hen.lekin asal me ye hi is aura ki awal khorak bhi hey.jis se ham aj key zada ter musalman esy is ki khorak na de ker esy bhoka rakhty hen.
ager ek musalman kam az kam fraiz ki had tak hi sahi lekin ibdat ka mamol rakhey.to ek taraf ibadat ho gi.to dosri taraf ap key aura ko us ki khorak baham milti rahey gi.phir jo shakhs jis qader chahe ibadat zikir o azkar key zerye isey zada se zada taqatwer bana sakta hey.ibadat key ilawa sans ki mashqen or maraqba bhi is ki khorak hi me shamil hen.
jab ek arsey tak in mamolat per amal kiya jaey to aura bedar honey lagta hey.akser ye asey shakhs per khud ko zahir ker key bhi apni bedari se agha ker raha hota hey.goya key ap ka shukreya ada ker raha ho.
jab mazeed is me roh ki tawanai aney lagti hey.to jisim ki qowat e mudafeat berh jati hey.bemariya kam se kam hamla kerti hen.depression ki jagha anjani khushi her waqt sath rehney lagti hey.khusyan ander se photti hen.himat or hosla berh jata hey.shaor or agahi me izafa hojata hey.esy logo me dosro key leye bhi shifa yabi deney ki khaseyat peda hojati hey.esy khwaten o hazrat ki ulad jo is doran peda hoi ho am bacho se zada zahanat rakhny wali ho gi.khud esy shakhs ki apni zahanat boht berh jati hey.log esy shakhs key pas bethney me khushi mehsos kerney lagty hen.apney mamlat me an jani lkashish key sabab is se mashwara kerty hen.
gherz key jab kisi bhi shakhs ka aura ya double jisim bedar ho jaey.to her tarah ki taraqi key rasty az khud khulna shuro ker dety hen.Aura ya aura ki tawanaiyan gher mehsos andaz se us ki madad keti hen.or esa roh ki la zawal tawanai key sabab hota hey.jo ba heseyat insan her ek me mojod hey.sirf is se agha hona or is se kam leney ka dhang ana chaheye.yad rakheye aura ki bedari ap ko der der ki thokery khaney se bachati hey.sirf is key leye khud apney ander jhankney ki zerorat hey.or is ka khoj lagnaney ki zerorat hey.Apny aura ki bedari key leye faraiz key sath maraqba kejye.or in bato ki sachiyo ko khud mushahida kejye.

Thursday 3 January 2013


COLOR THERAPY


ALLAH TALA fermata hy.k...



" or jo boht se rang ba rand ki cheezen us ny tumhary leye zameen me

peda ker rakhi hen, in me nishani hy un logo k leye jo samajh bojh se

kam lety hen. "





rango ki afadeyat is ayat e mubarka se sabit hy.lekin un logo k leye jo ghor o fikir se kam lety hen.

jesa k pehly bhi ye bat tasalsul se batai jarahi hy.k is kaynat k tamam hi ashaya ki base roshni hy.yani humy ashya ka jo zahire jisim nazer ata hy.in k pechy in ka asal jisim roshniyon se bana hota hy.

esi tara her insani jisim ki asal bhi ye hi roshniyon ka jisim hi hy.jisy hum jisim e misli ya aura kehty hen.

humary is aura me sath [7th] mukhtalif energy k marakiz hen.jinhy chakras bhi kehty hen.in 7th chakras k alg alg rang hoty hen,jin me purple , blue , green, yellow , oringe, red , or whight shamil he.

her chakra do tarah ki salaheyat rakhta hy.ek zehni or dosra jismani.yani her chakra do salaheyaton [zehani ,jismani] ko qabo kerta hy.

ya is bat ko is trah bhi kehsakty hen.

k her chakra ek zehni satah per aser andaz hota hy.or dosra jismani satah per aser andaz ho ta hy.

her chakry k jo rang bayan hoy.ager kisi bhi ek chakry k rang me tawazun na reh pay.to ye adam tawazun jisim per kis zehani ya jismani bemare ki sorat me zahir hota hy.

ab ye adam tawazun jis chakry me bhi ho ga.to mutaliqa chakra jin salaheyaton ko qabo kerta hy.un salaheyato me nuqs ajay ga.



ab is nuqs ya bemare ko theek kerny k leye jo bhi tareqa is temal kiya jata hy.derasal her tareqa e ilaj in chakras ky rangon me tawazun peda kerny ka sabab hota hy.lekin koi bhi tareqa e ilaj in chakras per barhyrast aser nahi dalta .bal k bila wasta aser dalta hy.

jab k color therapy wo wahid tareqa e ilaj h.jo in chakras k rangon k tawazun ko barahyrast theek kerta hy.ye color therapy ki sab se bare khusoseyat hy.al butta ilaj ki raftar sust zeror ho sakti hy.lekin is k aser baherhal barahyrast hi hota hy.lekin is treqa e ilaj se istefady k leye kisi mahir ki khidmat hi leni chaeyen.

jahan color therapy by inteha mufeed ilaj hy.wahin thora hasas bhi hy.yhan is mozo per likhny ka maqsad is ilaj ki afadeyat ka bayan hy.ta k ap jan saky k ye ilaj kis qader mufeed hy.or sath hi jesa k meri adat hy.k haqaiq se perda uthana , to is ki bunyad or logic pehly bayan ker de,



yahan me mukhtaseran rangon k hawaly se bayan kerna chahon ga k kon sy rang [color] ya color me adam tawazun kin baton ko zahir kerta hy.



red color,

zehani khawas,

jin logon me red color tawazun me hota hy.wo dosron ki madad kerty hen.red color jin me jazada hota hy.am tor per achi zindagi guzarty hen.



red color! jismani khawas ,

ye color khon ko mutaherik rakhta hy.khon ki kumi or falij or asabi nizam ko sahi rakhta hy.



ORINGE color,zehani khawas.

jin logon me oringe rang ka ghlaba ho.wo boht achy muntazim hoty hen.taqareeb me ana jana inhy pasand hota.



jismani khawas ! is rang ka ghalby waly log active hoty hen.hazma or pahpron ko qabo kerta hy.



yellow color.zehani khawas ,

jin me is rang ka ghalba ho.inhy ilm seekhny me dilchuspe hoti hy.science dan tajir or seyasat dano me ye rang ghalib hota hy.



jismani khawas !

zerd rang pet ki tamam bemareyon ka behter ilaj hy.jiger or suger k merz se nijat dilata hy.



Green color ! zehani khawas ,

ye rang sukon deta hy.ghalib green color waly log muhabat se bherpor hoty hen.





jismani khawas.

green color asabi nizam or doran e khon ko sahi rakhta hy.ye rang zakhumo ko bher deta hy.alser k merz ka boht acha ulaj bhi hy.



blue color! zehani khawas,



ghalib blue rang waly logo k ilaj me dilchuspe rakhty hen.esy log zada bolty nahi hen.khamosh or nurm mizaj hoty hen.



jismani khawas!

is rang ka taluq asabi takaleef.ankhon k verum kan ki boht se taklefon tansils k imraz me mufeed hy.



purple color! zehani khawas.

is rang k ghalby waly log hasas hoty hen.fankaron or mosawiro me ye rang ghalib hota hy.



jismani khwas!

ye rang jisim k tamam gudod me homons ki zadte ko rokty hen.zehani dabao ko kum kerta hy.masany ki pathre ka acha ilaj hy.



wight color zehani satah per pakezge peda kerta hy.jab k jismani satah per qowat e mudafeat k nizam ko sahi kerta hy.



ager chy in khawasme boht zada tafseel hy.lekin yaha boht hi mukhtaser bayan kiya gaya.

maqsad ye k bemare koi bhi ho.derasl is ki asal waja humary jisim e misali k chakras k in rangon me kumi beshi se hi merz peda hota hy.ager chakras k in rangon k tawazun ko durust ker deya jay.to bemare bhi theek ho jate hy.

ab ye bat k in rangon ki kumi ko pora kesy kiya jay.to is k boht se tareqy mahireen ny ab tak bayan kiye he,jin me se me sirf do tareqon ka zikir karon ga.

pehala tareqa !

soraj ki roshni me ye tamam hi rang ALLAH ny rakhy hen.soraj se in rangon ko batrahyrast bhi jisim me jazb kiya ja sakta hy.lekin ye baz hawalo se sahi yo bhi nahi k ek to mustaqil kai ghunty bethna na mumkin hy.dosra is sorat me boht se nuqsanat bhi hen.bila shuba kuch waqt soraj ki roshni me ghuzarana faedy se khali bhi nahi hy.

lekin is ka asan tareqa ye hy.k in rangion ko soraj se peny k aam pani me jazb kiya jay.or ek makhsos miqdar me peya jay.

is ka tyareqa ye hy.k jis rang ka pani banana ho.is k leye koi saf transperint botal sheshy ki le len.or pehly esy achi tarah doh ker saf ker len,ager ye botal ap k mutloba rang ki mil jay to boht acha hy.[jesa k aj kal mil jate hen.]lekin ager rangdar botal na mily to phir is k leye ap is botal per cilofeen sheet jo her color me mil jate hy.esy botal k ird gird or nechy ki taraf bhi achi tarah lpait ker kisi transperint taip se chipka den.

or is botal me saf peny ka pani bher len.lekin oper se thora botal ko khali rakhen.

to is botal ka cork achi tarah band ker den.

or subha jab dhop tez ho to.is waqt esy dhop me rakh den.



or sham ko jis waqt dhop khutum ho jay to botal utha len.yani 5 se 6 ghunton me pani tyyar ho jata hy.is pani me ap ki matloba roshniyan jazb ho jati hen.phir is pani ko ap istemal kersakty hen.



dosra tareqa.

mukhtalif rangon ko jazb kerny ka ek dosra tareqa maraqby ky zerye hy.k jis color ko jazb kena ho.esy maraqby me tasawur k zerye jazb kiya jay.ya is rang ki barish ka tasawur kiya jay.ager chy ye tareqa pehly tareqy se zada behter he,

lekin aam tor per ye tareqa us waqt zra dushwar ho jata hy.jab ek hi shukhs ko do ya teen color maraqby k zerye jazb kerny paren.kisi bhi bemare me.is waqt ye boht waqt talab ho jatA HY.

lekin baherhal is ki afadeyat pehly tareqy sy zada zeror hy.



is mazmon ka maqsad der asal color therapy hy kiya.or ye kis tarah kam kerti hy.ye hi batana maqsad tha.tak ap k ilm me is ki logic ajay.or kuch aghai bhi ho jay.jahan tak is k zerye ilaj ki bat hy.to bila shuba ye ek tarah se muft hi ka ilaj hy.lekin ager sahi se kiya jay.to faeda is ka zeror hy.



lekin akhir me ye hi kahon ga .k yahan mukhtalif rangon ki tafseel jan ker hi nahi de,k ye tareqa ilaj esa bilkul nahi hy.k koi bhi sirf perh ker jo samajh me ay .apny ander rango ki kumi zadate kerta rahy.leha kisi color therapist k mashwary k baghair koi bhi az kghud esy istemal na kry.kiyon k kisi ek hi masly me boht se baton ko dakhna hota hy.han ager ap me shoq hy.to esy seekhye zeror.

Make Money

Monday 17 December 2012

4 anasir

Anasir char [4th] he.jin se aam tor per hum sub hi waqif hen.lekin ye anasir humari zindagi me kuch makhsos hawalon se kiya amal dakhal rakhty hen.is bary me kum log hi janty he.anasir k hawaly se jis mozo ko me bayan kerny laga hon.ye aam tor per ilm e nujom k tehut zery behus ata he.me zati tor per ilm e nujom ki dosri baton ka qail nahi hon.lekin me ny anasir k hawaly se ilm e nujom ka ye qaeda
boht mustanad paya he.

YE anasir aag [fire] / hawa [air] / khak [earth] / pani [water] hen.jin me se her ek unser kisi bhi shukhs per ya kisi bhi shukhs k mizaj per ghalib hota he.
ilme nujom ka ye bara hi mustand qaeda he.kiyon k in anasir... me se baz anasir fitri tor per ek dosry k dost hen.or baz anasir fitri tor per ek dosry k dushman hen.
dost or dushman se murad ye hy.k baz anasir me muwafiqat he.or baz anasir me mukhalfat he.esa in anasir ki fitrat ki waja se he.maslan ek shukhs ka ghalib unser aag [fire] he.or ek dosra shukhs jis ka ghalib unser pani [water] he.to in dono me fitri tor per dushmani ya mukhalfat he.lehaza fitri tor per dono me dosti ya muhabat nahi ho sakti.kiyon k unser k mukhtalif hony ki waja se dono ka mizaj mukhtalif he.
humareha aam tor per is usool ya qaeda ko ager mady nazer rakha jay to zindagi k boht se muamlat me hum pareshni se buch sakty he.
jesy shadi k waqt larky or larki k unser ko dekh leya jay.k apas me mawafiqat he ya nahi.khud mera apna tajurba he k shadi k bad jin miyan bevi ki apas me nahi banti.to is ka andaza in k unser ko chak ker k hi ho jata he k waja kiya he.
maslan ek larki jis ka ghalib unser pani [water ho.us larki ki shadi esy shukhs se ker de jay jis ka ghalib unser aag [fire] ho to ager in ki shadi ker bhi de jay to bad me dono ki bany ge nahi.larai ghakra rahy ga.
esi tarah ager ap kisi shukhs se koi karobari shirakat ker rahy hen.to bhi is bat ka khyal rakhny se ap bad me any wali pareshani se buch sakty hen.esi tarah dosti k muamlat me bhi ap dekh sakty hen.k jo log ap k dost hen.in me se kis kis se ap ka mizaj milta he.or kis se nahi.
esi tarah ager peda hony waly buchon k unser me mawafiqat rakhi jay.do gher me behen bhaeyon me hum ahunge rahy ge.werna buchon ka mizaj ek dosry se nahi mily ga.
kehna ye he k ager zindagi k mukhtalif muamlat me anasir k dermeyan hum ahunge ka khayal rakha jay to zindagi me boht se khushgawar tabdeeleyan peda ho jati he.
is ko yon samajh len k baz anasir me ek dosry k leye attrection hoti he.or baz me nahi.
ab raha ye sawal k kesy malom ho k kis shukhs ka unser kiya he.to is k do tareqy hen.
ek tareqa tarekh e pedaish k hawaly se kisi bhi shukhs ka jo bhi burg banta he.dekh leya jay k kis burg ka kon sa unser he.is tarah ye malom ho jay ga k kis shukhs per kon sa unser ghlib he.
dosra tareqa ye he k kisi bhi shukhs k nam k pehly huruf ko dekha jay k kis huruf ka unser kon sa he.yani ji unser nam k pehly huruf ka hoga us shukhs ka ghalib unser wo hi ho ga.me zati tor per nam k pehly hurf k mutabiq unser ko zada mustanad samajhta hon.kiyon k nam mustaqil pukara jata he.



HURUF k mutabiq ansir jany k leye darj e zal chart note ker len.

AAG [fire],,,,,alif /ha / meem / tua / fy / sheen / zal

hawa [air] ,,,,,kaf / seen / qaf / jeem / zey / sey / zua .
...
khak [earth],,,,,ye / noon / suad / by / wao / ty / duad .

pani [water],,,,,,hey/ lam / Aen / rey / dal / khey / ghain.

AAG [fire] or hawa [air ] me muwafiqat ya dosti he.

KHAK [eart] or pani [water] me muwafiqat ya dosti he.

AAG [fire] or pani [water ] me mukhalfat ya dushmani he.

hawa[air] or khak[eart] me mukhalfat ya dushmani he.

ye anasir ka hawaly se laga bandha qaeda he.jis k zerye ap dekh sakty hen k k kis unser ki kis unser se fitri dosti ya dushmani he.

maslan jesa k uper malom kiya k mera ghalib unser pani [water ] he.ab me kisi hawaly se bhi kisi esy shukhs se jurna ya taluqat jesy shadi / karobar / dosti waghera rakhna chata hon.to ager esy shukhs ka ghalib unser AAG ho.to mera or us ka mizaj fitri tor per nahi mil pay ga.
bas kehna ye hi he k shadi /karobar / dosti / buchon me humahunge ager hum dekhna chaty hen.to phir humy in baton ka khayal rakhna ho ga,asal me ye anasir ki tabeyat me milap ya mukhalfat ki waja fitri usol ki waja se hota he.or me ny zati tor per anasir k is qaedy ko boht hi mustanad paya he.bal k yon kehna chaheye k ager ap shadi /ya karober waghera k hawaly se kamyabi k khuwahish mand hen.to is qedy ko zaror achi tarah samajh len.
ye qaeda kis qader mustanad he.is ka andaza ap khud bhi in usool o qawaid k zarye laga sakty he.apny ya dosron k hawaly se.is me ager koi bat samajh na ay ti zaror poch len.[WALLAH O ALUM]

Sunday 9 December 2012

ASTRAL TELEPATHY

Is mazmon ky aghaz se pehly ek bat ki wazahut kerna chahon ga.or wo ye k astrl traveling k hawaly se me ba unwan "mafrozat or haqaiq " me boht wazahut se likh chuka hon.k ager chy astral travling bilkul hoti hy.lekin us waqt k jab ap ka aura safer k qabil ho jay.us se pehly in unwanat k tyhut hum jo bhi practice kerty hen.ager chy wo un maino me haqeqe to nahi hoti.k jis k tyhu
t hum ye keh saken k humara aura haqeeqat me matloba jagha pohanch gaya.
lekin is tarah ki tamam practicees me ibtidai tor per hum aura ki energes se kam bilkul le lety hen.phir jis ki jis qader practice ho gi.usi qader achy nataij samny aty hen.
yani ye k is tarah ki koi bhi practice baherhal faedy se khali nahi hoti.
jo ehabab is bat ko mazeed samjhna chahen.wopehly zeror bayan keye gay.mazmon ko perh len.or jo mery purany perhny waly hen.ager in sab ny ye mazmon perh rakha hy.to sirf perh lena kafe nahi.ba l k tamam un baton ka zehan nasheen rakhna bhi boht zerori hy.kiyon k ek hi unwan k tyhut bar bar ek hi bat ko dohraya jana zerori nahi hy.or ager ap is group per kuch seekhna chaty hen.to boht zerori hy.k pichli baten ap ko az ber hon.yani yad hon.

astral tele pathy me bhi hum koi pegham kisi tak pohchaty hen.is me jahan hum zehan ki yuksoi se faeda uthaty hen.wahan hum is pegham k leye apny aura ko bhi tasawur me ek mediom banaty hen.ager is me sirf bunyade bat ko samajh leya jay.to tareqy koi khas ehmeyat nahi rakhty .bal k ap khud bhi apny boht se tareqy istemal ker sakty hen.

1/ ek tareqa ye hy.k jis shukhs ko pegham bhejna hy.us ky gher ka tasawur qaim karen.chahy wo dunya k kisi kony me bhi rehta ho.or chahy ap ny us ka gher dakh rakha ho ya na ho.bas tasawur ho k fulan ka gher.ab jesa bhi gher tasawur me ajay.
is tarah ki mashq ap maraqby k bad bhi ker sakty hen.wesy is k leye koi waqt or bethny ka andaz zerori nahi hy.
tasawur karen k jisy pegham dena hy.us ka aura gher me kisi jagha betha hy.ab ye tasawur karen k ap ka aura bhi us k samny mojod hy.jab ye tasawur qaim ho jay.to ab tasawur karen.k wo shukhs ap ki bat sunny k leye tyyar betha hy.or charaha hy.k ap khuch us se kahen.jab ye tasawur qaim ho jay.to ab us ka nam le ker usy mukhatib karen.or jo bat kehni hy.us se keh dalen.or mazeed ek hi bat ko ap us se 3 se 5 mertaba bhi keh sakty hen.
bas is me is bat ka khayal rakhen,k bat lambi chore na ho.mukhtaser ho.ibtedai tor per kisi ek hi shukhs ko ek hi bat musalsal kai din tak kehty rahen.jab tak wo shukhs ap ki kahi hoi bat per amal na ker le.ibteda me sirf ek shukhs per ek hi bat ki koshish karen.kisi masly me pareshan ho ker masly se mutaliq jitny log hen.un sab hi ky sath ye practice na karn.werna nateja [o] hi rahy ga.chahy to apna waqt zaya ker k dakh len.thore se sakht bat is leye kahi k humareha boht se jald baz logon ki bare kasrat hy.chund practices ker k wo khud ko booht kuch samajhny lagty hen.or jo bat jis tarah batai gai,us se hut ker her ek k leye ek hi practice shuro ker dety hen.phir koi nateja nahi ata to kehty hen.k us practice se koi aser nahi hoa.us ki waja ye hi hote hy.k baz log khud se ibteda hi me kuch ka kuch kerny lagty hen.kiyon k un ki nigha me gherai nahi hoti.wo samajhty hen.k kisi treqy ki ye khobi hy.k us se esa esa hota hy.jo bilkul ghalat hy.kiyon k perdy k pechy kuch or hi bat hoti hy.halan k me ny apna dil bara ker k bunyade bataon ko batany ki koshish ki hy.or ker raha hon.lekin aam tor per log is bat ko samajh nahi paty.
baherhal astral telepathy k mazed boht se tareqy hen.ap khud bhi is tarah k tareqy bana sakty hen.tatreqa wo hi sahi hota hy.jis se ap ko acha nateja milta hy.

2/ dosra ek tareqa ye hy.k jis shukhs ko pegham dena ho,is k sony k waqt k bary me malom ker len.ab jis waqt wo so raha ho.to is waqt ap pehly khud ko pursukoon karen.or phir apny aura ko us k pas tasawur karen.ye bat ap k tasawur me ho k wo shukhs so raha hy.jis waqt ye tasawur qaim ho jay.us waqt usy pegham den,or pehly tareqy k mutabiq is pegham ko 3 se 5 bar us ka nam le ker dohraen.tasawur me khud ko us k ser k maqam ki taraf khara dakhen.sath hi us shukhs k jisim k bajay us k aura ka tsawur hona chaheye.

3/ teesra ek tareqa ye hy.jis shukhs ko pegham dena ho.apny ser ki jagha us shukhs k ser ko tasawur karen.yni apny ser ki jagha us ka ser yani pora chyhera tasawur karen.ankhen band ker k .jab ye tasawur achi tarah qaim ho jay.to ab ap jo pegham dena chaty hen.usy is trah sochna shuro karen.k ye ap khud nahi bal k wo shukhs soch raha.hy.jesy ap pegham dena chaty hen.is treqy me hum kisi bhi shukhs k khayal se bhi agha ho sakty hen.lekin bat wo hi hy.k practice.or practice.
tab hi ap is tarah k tajurby me kamyab ho sakty hen,is k leye ibtedai tor per kisi k sath bhi is trah ki mashq ki ja sakti he.is ki sorat ye ho ge.k ap kisi dost ko sath betha ker ye mashq karen,or us k khayal ko mehsos kerna shuro karen.or phir jo bhi khayal ay.usy bata ker pochen.k kiya wo esa hi soch raha tha,ager shuro me ghalti bhi ho jay.to koi bat nahi.phir koshish karen.is tarah ap sirf khayal hi nahi us ki feelings bhi note ker sakty hen.yani kis tarh ki feeling hen.aya k khushi ki ya udasi ya pareshani ki.or usy bata ker ap us se poch sakty hen.
albutta is me sirf ek bat ka khayal zeror rakhen.k koi esa shukhs jo kisi zehani bemare ya dimaghe arzy k shikar ho.us k sath is tarah ki practice bar bar na karen.mustqil is tarah kerny se energy level per wo bemare ap me muntaqil bhi ho sakti he.is me sirf ye hi ehteyat hy.

4/ EK tareqa ye bhi hy.k jis shukhs ko pegham dena maqsod ho.is k aura ko apny samny bitha len.yani ankhen band ker k tasawur karen.k us shukhs ka aura ap k samny betha hy.ab jo pegham dena chaty hen.den.or esy kai bar zeror dohraen.

5/ ek tareqa ye bhi hy.k jab ap maraqby se farigh ho jaen.to ankhen band hi rakhty hoy.tasawur karen.k ap k seeny k ander green roshni jama ho rahi hy.or is green roshni ki ek bal se seny k ander banti jarahi he.or is bal ka size ahista ahista bara hota jaraha hy.yahan tak k ye green energy bal berhty berhty ap k seeny se baher any lagy hy.jab ye tasawur qaim ho jay.to ab jo pegham ap ny kisi ko dena hy. tasawur karen.k ap ka wo pegham zehan se energy ki sorat me is green energy bal me esy shamil ho gaya hy.k ab ye bal pora ka pora ap k khayal hi ki bal ban gaya hy.
jis waqt ye tasawur achi trah qaim ho jay.to ab us shukhs k aura ka tasawur karen.k us shukhs ka aura ap k samny mojod hy.ab jab ye tasawur sahi se qaim ho jay.to ab ye green energy bal jo k derasal ap k khayl ki bal hy.us shukhs ki taraf uchal den.yani tasawur karen.k ye bal ap k seeny se nikal ker us shukhs ky aura ki taraf chali gai hy.or ye energy tamam us k aura me muntaqil ho ker us ky aura me phail gai hy.is tarah mutawatir jab tak kerty rahen,jab tak us shukhs ko pegham mosool na ho jay.


astral telepathy me or boht se taraqy ho skty hen.jin me se chund pesh ker deye gay.
sab hi tareqon me is bat ka khyal rakhen,k her pegham mukhtaser hony k sath sath us me ap ki feelings bhi hon.or tasawur achi tarah qaim hona chaheye.

bayan keye gay sare hi traeqy azmay hoy hen,or sab hi k nataij achy hen.ager is me se koi tareqa bhi ap istemal kerty hen.or us k nataij ap k husby mansha nahi mil rahy.to shikayat kerny se pehly do baton ko zehan nsheen ker len.tak ap ka or mera bhi qeemti waqt zaya na ho.
pehli bat k us waqt tak koi tareqa karger nahi ho ga.jab tak ap kisi bhi ek tareqy per achi trah mehnat na ker len.or practice k leye jo sth sath usool baty gay.un per amal naker len.dosre or ehum bat ye yad rakhny ki hy.k kisi bhi dua /dawa / ya koi bhi tareqa us waqt tak aser pazeer nahi ho sakta.jab tak ALLAH ko manzor naho.ya on keh len k bayan kerda tamam hi tareqon ka aser hona lazime hy.illa ye k ALLAH na chahy.
lehaza in do bunyadi baton ko zeror zehan me rakhen.
ek or bat ye k ye tamam hi tareqy bunyade usoolon k tyhut hi byan keyegay.lekin in tareqon ko jaiz ya najaiz maqasid k leye kon kis tarah kam me leta hy.ye istemal kerny waly ki soch or neyat per hy.na jaiz tor per itemal kerny walon ko shayad waqti faeda zeror pohanch jay.lekin muslsal esa kerny waly shukhs ko is bat ki ghyrai ka andaza nahi ho sakta k wo khud apny sath kiya ker raha hy.najaiz sorton me kon kon se nuqsanat hen.jin se istemal kerny wala buch nahi saky ga.inhy me jan bojh perda me rakh raha hon.aqalmando k leye ishra kafe hy.

Wednesday 28 November 2012

Enhance Your ESP Powers

SP [ Extra Sensory Perception ] ,urdu me is ka mainey zra se mushkil hen.yani "Ehsas ma waraey idrak " ,
YAni esa ehasas jo kisi zahiri sabab [idrak] key bagher peda ho.jesey gulab key phol ki khushbo ap usi waqt mehsos ker sakty hen.jab gulab ka phol ap key qarib ya samney ho.lekin ager gulab ka phol ap key samney nahi hey.or phir bhi ap apni zehani qowat key bal per is khushbo ko apney iradey se mehsos kerney ki koshish karen ,or ye khushbo ap songhney me kamyab bhi ho jaen to esi khushbo ka ehsas derasal AP apni ESP {Extra Sensory Perception ] key zerye songhney me kamyab hoey.tarah 5th sences ki bat hey . jab kisi insan key ye pancho hawas bagher kisi zahiri sabab key kam kerna shuro ker den.to is ka matlab hey key us shakhs ki ESP power khul
ya berh rahi hen.or mustaqil maraqba kerney walon ki ESP power az khud berhna shuro ho jati hen.Alheda se kisi mashq ki zerorat nahi rehti.

Koi bhi shskhs APpni is ESP power key zerye fasley per hoty hoey bhi boht se manmlat me numaya kamyabi hasil ker sakta hey.jesey kisi mamley ki khoj laga.ya kisi jagha key mutaiq malomat hasil kerna.jo kisi bhi noeyat ki ho sakti hen.ya kisi insan key sacha ya jhota honey ka pata bhi inhi ESP power key zerye mumkin hey.
ESP power ka bunyadi taluq insan ki chatti his se hota hey.maraba ya ibadat ,zikiro tilawat waghera key zerye jesey jesey kisi bhi insan ki chatti his zada bedar honey lagti he.wesey wesey us shakhs ki ESP power bhi az khud hi berhna shuro ho jati hen.is post ka maqsad kuch mazeed exercise un maraqba kerney walon key leye de jarahi hen.jo zada tezi se chaty hey un key un ki ESP power jald bedar ya jald berhna shuro ker den.ye ecercise koi bhi maraqba kerney wala ba asani maraqbey key dermiyan ya akhir me ba asani ker sakta hey.or kisi tarah ka koi nuqsan bhi is me nahi hey.go key ye xercise mind programming ka kirdar hi ada kerti hen.jinhey SILVA ki mind programming se mila jula ker pesh kiya jaraha hey.
1. jis jagha ap beth ker maraqba ker rahey hen.tasawur kejye key ap apney qarib hi mojod dewar key ander dakhil ho gaey hen.
jab khud ko dewar key ander mehsos ker len.to is moqey per tasawur hi me dewar key ander ki smel mehsos karen.chand second tak ye smel mehsos kerty rahen.is key bad dewar ki androni satah ko tasawur me hi hat laga ker us ka khudra pan or sakhti mehsos kerney ki koshish karen.
chand second bad is dewar key ander hi dewar key ander dekhney ki koshish kare.

2.Pehley step key bad ap tasawur hi me dewar sey bahir ajen.or ab dil hi dil me 5 se 1 count karen.yani ye tareqa maraqbey key khatam kerney ka bhi hota hey.or ek tasawur se dosry me janey ke leye bhi .
ap ney yaha maraqba khatam nahi kerna bal key tasawur ko shift kerna hey.ab ttasawur kejye key ap key samney boht si khaney ki dishes mojod hen.alag alag khano ki.jin khano ka tasawur kerna chahen kejye.or un me se pehley ek dish me se kuch khaney ki koshish karen.yani tasawur hi me.or is khaney ki khushbo or zaeqy ko zaban per mehsos karen.yani khana kitna garam hey.ya thanda.khaney ka zaeqa kesa hey .
chad second tak ye tasawur kerty rahen.

3.phir dobara 5 se 1 conunt ker key tasawur ko shift kejye.or ab tasawur me ap ney samney kuch asaya ko mojod paen.ye ashya am istemal ki roz mera me istemal honey wali koi bhi ashya ho sakti hen.jesey gher me mojod kursi[chear] bolpoint ,
paper ,lakri [wood] waghera ,
jo bhi chan chezen ap tasawur kerna chahen kejye.is key bad in me se her ek shey ko hat me le ker is ka wazan mehsos kerney ki koshish karen.is key bad hat se zra daba ker is shey ki sakhti ko mehsos kerney ki koshish karen.
yani her her shey jin ka tasawur ap ker rahey hen.taswur me hi sahi mani me is shey ki maddi heseyat ko mehsos kerney ki koshish kejye.

4.phir dobara tasawur ko shift kejye .or ab is tasawur me khud ko kisi or maqam per le jaen.jesey kisi rishty dar,dost waghera key gher.ya kisi bhi dosrey ajnabi mahol me khud ko le ja sakty hen.or waha mojod logo ki movment ko dekhen.logo ney kis rang key libas pehan rakhey hen.dekhney ki koshish karen.
or tasawur me hi kisi shakhs se kisi bhi mozo per bat kerney ki koshish karn.or us key deye gaey jawabat ko sunney ki koshish karen.


5.ab phir tasawur ko shift kejye.or khud ko samander key samney betha tasawur kejye.samander ki ati jati lehron ko dekhney ki koshish karen.or samander ki in ati jati lehron ki awaz ko tawaju se sunney ki koshish karen.or chand second se chand lminut tak esa hi tasawur qaim rakheye.


isexercise key sabhi hison ko ap ek sath bhi ker sakty hen.or chahen to step by step roz ek hisey ki practice bhi ker sakty hen.yani in 5 hison ko 5 days me bhi ker sakty hen.lekin is ka faeda mustaqil pratice se hi mumkin hey.

Cosmic Energy

you to her insan ya her qudrati tor fiza se cosmic energy hasil kerta hi hey.chahe wo maraqba kerta ho na kerta ho.cosmic energy ek shifai tawanai hey.jesey qowat e hayat bhi kehty hen.jo fiza me mojod hoti hey.
lekin ajkal key stress zada mahol me taqreban her shakh hi stress ya depresion ka shikar hey.is ki bunyai waja hamari khorak or mahol or hamara sust ter e zndagi hey.
musalsal stress ya muntashir khali ka rehna derasal ye nishani hey asabi kamzori ki.or asab key kamzor honey ki waja musalsal stress ya depresion hey.jis ki waja se zehan kisi ek kam per focus nahi ho pata.
jab tak zehan kisi ek nukty per ther nahi jata .ya ruk nahi jata ..yani zehan tamm ter khayalat se khali na ho.to us waqt ye shifai qowat ya cismic energy zehan key rasty jisim me dakhil nahi ho p
ati.lehaza stress ya be ja khayalat ka musalsal bhao ek tarah se cosmic energy ko jisim me dakhil nahi honey deti.ye hi waja hey jis ki bina per am tor per logo me zehani dabao bher raha hey.
maraqba derasal ek esa amal hey jis me ios bat ki practice ki jati hey key zehan kisi ek nukty per ther jaey.yani tamam khayalat se khali hota chala jaey.jab ek maraqib musalsal practice se is bat me kamyab ho jata hey.to zehan na sir apney merkaz se qarib ho jata hey.bal key zehani or jismani sukonn is bat ki alamat hoty hen.key is waqt ap apney ander apney iradey se jis qader chahen is shifai tyawanai ko apney ander dakhil ker sakty hen.
yani bunyai bat ye hey key jab tak zehan me khayalat gerdish kerty rahen gen.jisim me cosmic energy sahi se dakhil na ho gi.lehaza maraqba kery rehney se ap apney khayalat per qabo pana shuro ker dety hen.yo ap ek tarah se cosmic energy ko jisim me dakhley ki ijazat dety hen,