Sunday 9 December 2012

ASTRAL TELEPATHY

Is mazmon ky aghaz se pehly ek bat ki wazahut kerna chahon ga.or wo ye k astrl traveling k hawaly se me ba unwan "mafrozat or haqaiq " me boht wazahut se likh chuka hon.k ager chy astral travling bilkul hoti hy.lekin us waqt k jab ap ka aura safer k qabil ho jay.us se pehly in unwanat k tyhut hum jo bhi practice kerty hen.ager chy wo un maino me haqeqe to nahi hoti.k jis k tyhu
t hum ye keh saken k humara aura haqeeqat me matloba jagha pohanch gaya.
lekin is tarah ki tamam practicees me ibtidai tor per hum aura ki energes se kam bilkul le lety hen.phir jis ki jis qader practice ho gi.usi qader achy nataij samny aty hen.
yani ye k is tarah ki koi bhi practice baherhal faedy se khali nahi hoti.
jo ehabab is bat ko mazeed samjhna chahen.wopehly zeror bayan keye gay.mazmon ko perh len.or jo mery purany perhny waly hen.ager in sab ny ye mazmon perh rakha hy.to sirf perh lena kafe nahi.ba l k tamam un baton ka zehan nasheen rakhna bhi boht zerori hy.kiyon k ek hi unwan k tyhut bar bar ek hi bat ko dohraya jana zerori nahi hy.or ager ap is group per kuch seekhna chaty hen.to boht zerori hy.k pichli baten ap ko az ber hon.yani yad hon.

astral tele pathy me bhi hum koi pegham kisi tak pohchaty hen.is me jahan hum zehan ki yuksoi se faeda uthaty hen.wahan hum is pegham k leye apny aura ko bhi tasawur me ek mediom banaty hen.ager is me sirf bunyade bat ko samajh leya jay.to tareqy koi khas ehmeyat nahi rakhty .bal k ap khud bhi apny boht se tareqy istemal ker sakty hen.

1/ ek tareqa ye hy.k jis shukhs ko pegham bhejna hy.us ky gher ka tasawur qaim karen.chahy wo dunya k kisi kony me bhi rehta ho.or chahy ap ny us ka gher dakh rakha ho ya na ho.bas tasawur ho k fulan ka gher.ab jesa bhi gher tasawur me ajay.
is tarah ki mashq ap maraqby k bad bhi ker sakty hen.wesy is k leye koi waqt or bethny ka andaz zerori nahi hy.
tasawur karen k jisy pegham dena hy.us ka aura gher me kisi jagha betha hy.ab ye tasawur karen k ap ka aura bhi us k samny mojod hy.jab ye tasawur qaim ho jay.to ab tasawur karen.k wo shukhs ap ki bat sunny k leye tyyar betha hy.or charaha hy.k ap khuch us se kahen.jab ye tasawur qaim ho jay.to ab us ka nam le ker usy mukhatib karen.or jo bat kehni hy.us se keh dalen.or mazeed ek hi bat ko ap us se 3 se 5 mertaba bhi keh sakty hen.
bas is me is bat ka khayal rakhen,k bat lambi chore na ho.mukhtaser ho.ibtedai tor per kisi ek hi shukhs ko ek hi bat musalsal kai din tak kehty rahen.jab tak wo shukhs ap ki kahi hoi bat per amal na ker le.ibteda me sirf ek shukhs per ek hi bat ki koshish karen.kisi masly me pareshan ho ker masly se mutaliq jitny log hen.un sab hi ky sath ye practice na karn.werna nateja [o] hi rahy ga.chahy to apna waqt zaya ker k dakh len.thore se sakht bat is leye kahi k humareha boht se jald baz logon ki bare kasrat hy.chund practices ker k wo khud ko booht kuch samajhny lagty hen.or jo bat jis tarah batai gai,us se hut ker her ek k leye ek hi practice shuro ker dety hen.phir koi nateja nahi ata to kehty hen.k us practice se koi aser nahi hoa.us ki waja ye hi hote hy.k baz log khud se ibteda hi me kuch ka kuch kerny lagty hen.kiyon k un ki nigha me gherai nahi hoti.wo samajhty hen.k kisi treqy ki ye khobi hy.k us se esa esa hota hy.jo bilkul ghalat hy.kiyon k perdy k pechy kuch or hi bat hoti hy.halan k me ny apna dil bara ker k bunyade bataon ko batany ki koshish ki hy.or ker raha hon.lekin aam tor per log is bat ko samajh nahi paty.
baherhal astral telepathy k mazed boht se tareqy hen.ap khud bhi is tarah k tareqy bana sakty hen.tatreqa wo hi sahi hota hy.jis se ap ko acha nateja milta hy.

2/ dosra ek tareqa ye hy.k jis shukhs ko pegham dena ho,is k sony k waqt k bary me malom ker len.ab jis waqt wo so raha ho.to is waqt ap pehly khud ko pursukoon karen.or phir apny aura ko us k pas tasawur karen.ye bat ap k tasawur me ho k wo shukhs so raha hy.jis waqt ye tasawur qaim ho jay.us waqt usy pegham den,or pehly tareqy k mutabiq is pegham ko 3 se 5 bar us ka nam le ker dohraen.tasawur me khud ko us k ser k maqam ki taraf khara dakhen.sath hi us shukhs k jisim k bajay us k aura ka tsawur hona chaheye.

3/ teesra ek tareqa ye hy.jis shukhs ko pegham dena ho.apny ser ki jagha us shukhs k ser ko tasawur karen.yni apny ser ki jagha us ka ser yani pora chyhera tasawur karen.ankhen band ker k .jab ye tasawur achi tarah qaim ho jay.to ab ap jo pegham dena chaty hen.usy is trah sochna shuro karen.k ye ap khud nahi bal k wo shukhs soch raha.hy.jesy ap pegham dena chaty hen.is treqy me hum kisi bhi shukhs k khayal se bhi agha ho sakty hen.lekin bat wo hi hy.k practice.or practice.
tab hi ap is tarah k tajurby me kamyab ho sakty hen,is k leye ibtedai tor per kisi k sath bhi is trah ki mashq ki ja sakti he.is ki sorat ye ho ge.k ap kisi dost ko sath betha ker ye mashq karen,or us k khayal ko mehsos kerna shuro karen.or phir jo bhi khayal ay.usy bata ker pochen.k kiya wo esa hi soch raha tha,ager shuro me ghalti bhi ho jay.to koi bat nahi.phir koshish karen.is tarah ap sirf khayal hi nahi us ki feelings bhi note ker sakty hen.yani kis tarh ki feeling hen.aya k khushi ki ya udasi ya pareshani ki.or usy bata ker ap us se poch sakty hen.
albutta is me sirf ek bat ka khayal zeror rakhen.k koi esa shukhs jo kisi zehani bemare ya dimaghe arzy k shikar ho.us k sath is tarah ki practice bar bar na karen.mustqil is tarah kerny se energy level per wo bemare ap me muntaqil bhi ho sakti he.is me sirf ye hi ehteyat hy.

4/ EK tareqa ye bhi hy.k jis shukhs ko pegham dena maqsod ho.is k aura ko apny samny bitha len.yani ankhen band ker k tasawur karen.k us shukhs ka aura ap k samny betha hy.ab jo pegham dena chaty hen.den.or esy kai bar zeror dohraen.

5/ ek tareqa ye bhi hy.k jab ap maraqby se farigh ho jaen.to ankhen band hi rakhty hoy.tasawur karen.k ap k seeny k ander green roshni jama ho rahi hy.or is green roshni ki ek bal se seny k ander banti jarahi he.or is bal ka size ahista ahista bara hota jaraha hy.yahan tak k ye green energy bal berhty berhty ap k seeny se baher any lagy hy.jab ye tasawur qaim ho jay.to ab jo pegham ap ny kisi ko dena hy. tasawur karen.k ap ka wo pegham zehan se energy ki sorat me is green energy bal me esy shamil ho gaya hy.k ab ye bal pora ka pora ap k khayal hi ki bal ban gaya hy.
jis waqt ye tasawur achi trah qaim ho jay.to ab us shukhs k aura ka tasawur karen.k us shukhs ka aura ap k samny mojod hy.ab jab ye tasawur sahi se qaim ho jay.to ab ye green energy bal jo k derasal ap k khayl ki bal hy.us shukhs ki taraf uchal den.yani tasawur karen.k ye bal ap k seeny se nikal ker us shukhs ky aura ki taraf chali gai hy.or ye energy tamam us k aura me muntaqil ho ker us ky aura me phail gai hy.is tarah mutawatir jab tak kerty rahen,jab tak us shukhs ko pegham mosool na ho jay.


astral telepathy me or boht se taraqy ho skty hen.jin me se chund pesh ker deye gay.
sab hi tareqon me is bat ka khyal rakhen,k her pegham mukhtaser hony k sath sath us me ap ki feelings bhi hon.or tasawur achi tarah qaim hona chaheye.

bayan keye gay sare hi traeqy azmay hoy hen,or sab hi k nataij achy hen.ager is me se koi tareqa bhi ap istemal kerty hen.or us k nataij ap k husby mansha nahi mil rahy.to shikayat kerny se pehly do baton ko zehan nsheen ker len.tak ap ka or mera bhi qeemti waqt zaya na ho.
pehli bat k us waqt tak koi tareqa karger nahi ho ga.jab tak ap kisi bhi ek tareqy per achi trah mehnat na ker len.or practice k leye jo sth sath usool baty gay.un per amal naker len.dosre or ehum bat ye yad rakhny ki hy.k kisi bhi dua /dawa / ya koi bhi tareqa us waqt tak aser pazeer nahi ho sakta.jab tak ALLAH ko manzor naho.ya on keh len k bayan kerda tamam hi tareqon ka aser hona lazime hy.illa ye k ALLAH na chahy.
lehaza in do bunyadi baton ko zeror zehan me rakhen.
ek or bat ye k ye tamam hi tareqy bunyade usoolon k tyhut hi byan keyegay.lekin in tareqon ko jaiz ya najaiz maqasid k leye kon kis tarah kam me leta hy.ye istemal kerny waly ki soch or neyat per hy.na jaiz tor per itemal kerny walon ko shayad waqti faeda zeror pohanch jay.lekin muslsal esa kerny waly shukhs ko is bat ki ghyrai ka andaza nahi ho sakta k wo khud apny sath kiya ker raha hy.najaiz sorton me kon kon se nuqsanat hen.jin se istemal kerny wala buch nahi saky ga.inhy me jan bojh perda me rakh raha hon.aqalmando k leye ishra kafe hy.

9 comments:

  1. talepathy k ap ny bilkul new tareqay batay hain

    ReplyDelete
    Replies
    1. in tamam mazamen ka author me ( syed danish hussain ) hon.ye blog jin sahib ne bhi create kia he.in ki ye herkat in ke leye bais e shermindagi honi chaheye.inthai gher ikhlaqi or ghetya herkat inho ne ki he.or intihai gherzime dari ka sbot bhi deya he.ye is shakhs ne us ehsan ke badla deya he.jo inhe group me shamil ker ke in per kia gaya.ye sare mazamin is shakhs ne mere group se copy pest keye hen.perhne wale is do number se hoshiyar rahen.mera fb per group he...https://www.facebook.com/groups/Meditation.Urdu/

      Delete

      Danish Hussain18 January 2016 at 12:56
      Mr bilal Ap mujhh se rabta kejye.werna me ap ke khilaf Fia cyber crime me Fir derj kerwane wala hon.mere mazamin tum ne copey ker ke boht bari beghertai ka subot deya hey..

      Delete
      Reply

      Delete
  2. aura kisa tarah qaimkia jay ? yeh kia hota ha ?

    ReplyDelete
  3. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Mr bloger ye sare paid courses mere zati create kerda hen.or ap ye courses kis tarah se kerwa rahe hen.or kis tarah ker wa sakte hen.na hi ap ne ye courses mujh se keye hen.or na hi me ap ko jant hon.phir ap ke is bloge me jis qader me dekh or perh saka mere hi tamam mazamin ap ne mere group baggher meri ijazat ke copy pest keye hoey hen.na hi ap ne me mere group or nam tak ka hawala bhi nahi deya.ap ki ye herkat intihai gher ikhlaqi he. or ap ke leye bais e sharam bhi hona chehaye.bara e meherbani mere tamam mazamin apne blog se delete kejye.ye hi ap ke leye zada behter bat he

      Delete
  4. mera group he.https://www.facebook.com/groups/Meditation.Urdu/

    ReplyDelete
  5. nice i will try agr sach main ye cheez kaam karti hai to yakeenaan meri bichri hoi dost bhi zaror mil jaye gi aur mujh se rabta karay gi

    ReplyDelete
  6. nice i will try agr sach main ye cheez kaam karti hai to yakeenaan meri bichri hoi dost bhi zaror mil jaye gi aur mujh se rabta karay gi

    ReplyDelete
    Replies
    1. in tamam mazamen ka author me ( syed danish hussain ) hon.ye blog jin sahib ne bhi create kia he.in ki ye herkat in ke leye bais e shermindagi honi chaheye.inthai gher ikhlaqi or ghetya herkat inho ne ki he.or intihai gherzime dari ka sbot bhi deya he.ye is shakhs ne us ehsan ke badla deya he.jo inhe group me shamil ker ke in per kia gaya.ye sare mazamin is shakhs ne mere group se copy pest keye hen.perhne wale is do number se hoshiyar rahen.mera fb per group he...https://www.facebook.com/groups/Meditation.Urdu/

      Delete

      Danish Hussain18 January 2016 at 12:56
      Mr bilal Ap mujhh se rabta kejye.werna me ap ke khilaf Fia cyber crime me Fir derj kerwane wala hon.mere mazamin tum ne copey ker ke boht bari beghertai ka subot deya hey..

      Delete
      Reply

      Delete