Mind and Mind Power

MIND AND MIND POWER !
AKser hum ye kehty hen.k mery dimagh [brain] me ye bat aei hy.jab k koi bhi bat ya idea humary dimagh me nahi bal k mind me ata hy.
kiyon k hum aam tor per brain or mind me ferq nahi ker paty.ya humy malom nahi hota .k dono me kiya bunyadi ferq hy.humara brain derasl humary jisim k sab se upri hisy yani khopri k ander gosht post sy bana hoa hy.jisy bherhal dakha ja sakta hy.lekin jo humara mind hy.wo derasal humary pory jisim ka ehata kiye hoy hy.ya hum keh sakty hen.k brain k pus e perda jo cheez work kerti hy.ya jo chupi hoi hy.wo humara mind hy.
albutta sceince dano ny soch k tyhut jo tabdeeliya brain ki satah per waqy hoti hen.yani brain k mukhtif points me kis soch ya kis ehsas sy kiya hormonal change ata hy.is sy khob aghai hasil ker le hen.
maslan depression me kis tarah k hormon disturb hoty hen.ya un balnce hoty hen.tehqeeq se in hormon ko mutawazin kerny k leye boht se dawaen zeror ijad ker le hen.
lekin derasal ye khrabi to un nazer na any waly awamil ki waja se hoty he.jo soch ya kisi sadmy ya prasahni ki sorat me brain me hormonal change kerty hen.
zada ter asi sorat me sukoon awer adweyat zeror de de jati hen.ya ahista ahista hormon ko balnce kerny ki koshish ki jati hy.lekin isy phir bhi mustaqil ilaj nahi kaha jasakta.asy mareez dawon k sahary zindage ki tarf lot zeror aty hen.lekin in dawaon se peecha bherhal nahi chotta .waqt k sath sath dawaon me kumi zeror ati jati he.
kehana ye hy k mind ki satah per jo bigar peda hota hy.un ka hal bherhal psychologist k pas nahi.or ye huqeeqat hy.
humra zehan do hison me butta hoa hy.ek ko shaor or dosry ko la shaor kehty hen.jab hum zehan k shaori hisy se wabusta hoty hen.to her ek cheez k leye hum logic ka istemal kerty hen.kiyon k humra shaor logecal hota hy.or ye her information ko 5ive senses k tyhut hi samajhta or qubool kerta hy.yani .dakhna , sunna , chona , songhna chukhna ,
shoar chahy mehdod hi kiyon na ho lekin zindage ko usool or zabton k sath guzarny k leye haor ka sahi hona both zerori he.ya ek kamyab zindage k leye shaor ka sahi hona boht zerori hy.
jin ka shaor kisi bhi waja se moatal ho jay.wo aam tor per pagal or dewany kehlaty hen.
la shaor se any wali her information k sahi istemal shaor hi ker sakta hy.bina shaor k la shaor se any wali her itela bymani reh jati he.lehaza shaor ki ehmeyat ko kisi trah kum na khayl kiya jey.
jisy hum mind power kehty hen.ya zehan ki chupe hoi khufya salaheyaten ko kam me lany ki bat kerty hen.is k leye chahy tareqa koi bhi ikhteyar kiya jay.chahy maraqba kiya jay,telepathy ya esp power ka istemal ho ya jo bhi koi treqa zehan ki chupe powers ko bedar kerny k leye istemal kiya jay ga.in sb k leye munsalik bherhal la shaor se hi hona pary ga.
kiyon k humara la shaor hi kaynat se jur akta hy.is k leye humy her roz kuch der k elye bedari me la shaor se rabta kerna ho ga.
jahan tak humary zehan k kam kerny ki bat hy.to ye beleving k usool per kam kerta he.kisi bhi moashry me jin hawalon se jo belive system ho ga.moashry k ferd ka zehan us k mutabiq aml kary ga.choti se misal humary han "ulloo" kum aqali ki nishani samjha jata hy.jab k west me asy aqalmande ki nishani samjhajat hy.

ager kisi bhi hawaly se ap nakam zindage guzar rahy hen.to sab se pehly apny belives ko chak karen.us hawaly se.kiyon k akser oqat ye belives hi bunyadi masly ki waja hoty hen.ya khud ye ker saken to kisi NLP prectitioner ya hypnotherapist se rabta ker leya jay.
mind power ka matlab her giz ye nahi hy.k ap suprmen type ki koi cheez ban jaen.bal k zehan k function ko samjhny ki koshish karen.kiyon k baz dafa ya akser hota ye hy.k hal humary ander hota hy.lekin lekin hum pareshni me bahir idher udher bhag rahy hoty hen.lekin ye sahi hy.or haqeeqat se qareeb bhi k ek dum kisi preyshni sy baz oqat insan boht ghubrahut me ajata hy.asi sorat me lazmi kisi sahary ki zerorat hoti hy.
lekin me ap ko ye adwat deta hon. k ayey khud ko samjheye .ALLAH ny malom nahi kon kon se nymaty humy dy rakhe hen.jin per hum ghor nahi kerty .
mujhy lagta hy k shayad ye na shukre hy.
rohani nukta e nigha se her fan her her skill humary andr mojod hy.jesy ek mosawir jab pencil se koi scach banana shuro kary,to ibteda me paper per kuch samajh na any wali lines nazer ate hen.lekin jab tasweer mokumal ho jati hy.to malom ho jata hy. tasweer mokamal ho gai.kiya ye tasweer bahir the.ya mosawir k apny ander .mosawir sirf mehnat se or mashq se is tasweer ko bahir lana seekhta hy.
bilkul esi tarh her fan or skill chahey wo koi bhi ho,ALLAH ny humary ander rakhi hy.ustad us fan or skill ko baher lany ki koshish kerta hy.usol is ka ye he.k jab bhi kisi salaheyat ki bedari maqsod ho.to is k leye jis cheez ki zerorat hoti hy.wo hy. 
"TAWUJO " ya cocentration .ye usool or zabta dunya k uloom k leye to zerori he hi.lekin zehani ya rohani uloom or kisi bhi khufya salaheyat ki bedari k leye bhi hy.dono me mushtariq cheez tawujo hy.lekin mutaqil mizaje k sath.
is bat ko dobara samajh len. k maslan jin logon ny humary page ya group per aker maraqba shuro kiya .kuch arsy bad wo kehty hen.k boht sukoon milta hy.tabeyat me therao or sukoon peda ho gaya hy.
ghor talab bat hy.k ye sukoon hum ny ya kisi tareqy ny peda nahi kiya bal k sukoon to pehly bhi un k ander hi mojod tha .ustad ny sirf usy ubharny ya sukoon se conect hony ka tareqa bataya,jis per tawujo se kerny wala apny ander k sukoon se agha ho gaya.
yani her khufya ya gher khufya salaheyat humary ander hi mojod hy.ustad treqa batata hy.shagirg tawaju se mehnat kerta hy.natejy me wo cheez jisy hasil kerna chahata hy.usy mil jati hy.
humary ander ya zehan me by panha salheyaten mojod hen.zahir me ager sceince ki ijadat dakhi jaen.to wo bhi tajub me dalti hen.ager chy wo bhi mind power hi hy.lekin aam tor per hum is se murad zehan ki chupe salheyate hi lety hen.
ye salheyaten is qader hen.k ab tak bhi jo tehqeqat samny aen,hen.wo bhi bila shuba kum hen.
is me ek ehum bat bhi zeror yad rakhni chaehye k hum jab mind power ki bat kerty hen.to is se khuda na khuwasta ALLAH ko chor ker zahen ko hi sab kuch samajh lena nahi hy.bal k zehan jo ALLAH hi ki ata kerda nymat hy.is k bary me khoj lagana ya un se istefada kerna mmaqsad hy.jo bajay khud shuker k derjy me ata hy.
ye bat bhi yad rakhni chaheye k humara zehan humary jisim per hukomat kerta hy.
humri chal ,dhal ,nazreyat ,udasi ,khushi waghera sab hi zehan ki pedawar hy.ager in cheezon me bogar ho to hum zehani sath per tabdeeli peda ker k inhy sahi ker sakty hen.ager is k leye kisi tajurba kar ki zerorat ho to wo bhi zeror ly leni chaeye.

hypnosis me hum akser o besh ter ye tajurbat kerty rehty hen.kjesy kisi subject ko trance me le ja ker [yani us k la shaor ko bedari me active ker k] usy jab kehty hen.k tumhra hat boht bhare ho gaya hy.itna bhari k tum uthana bhi chaho to utha nahi sakty , ya kaha jata hy k tumhari tangen is qader bhari ho chuki hen k k tum uthna bhi chaho to uth na sako gy.to bilkul esa hi hota hy.k wo apni jitni bhi koshish kerly nahi hat utha sakta hy.nahi apni tangon per khera ho sakta hy.jin logon k sath esa kiya gaya.wo meri bat ki tasdeeq karen gy.esa kesy hota hy..bas ye hi is bat ka suboot hy.k humary jisim per humary zehan ki hukomat hy.jab is tareqy se zehan ko qabo ker k [ager chy subject bedar hota hy.] ya la shoar ko mukhatib ker ky.kaha jata hy.ya usy ek asi bat ka yaqeen delaya jata hy.jis ki koi zahire waja nahi hoti.lekin kiyon k zehan is per yaqeen ker letya hy.to esa hi hota hy.bas hum apni zindagi me bhi ager is tareqy ko seekh len.or jo cheez zahir me naho jesy itminan .khushi .khudetmadi .,willpower .waghera ye sab hi is tareqy se peda ho jati hen.YANI   ham mind power ko kisi shubdy bazi k  husol k leye nahi.bal k apni zehani salahiyato ko bdar ker k  apny leye life me boht si asaniya or kamyabio ko mumkin bana sakty hen.jin per ham am tor per kam nahi kerty ,or ye hi hamary is group ka maqsad bhi hey.
yad rakheye k mind power ka matlab her giz shubdy dekhana nahi hy.ager chy ye mumkin zeror hy.lekin mind power ka musbat isteml yani apni or dosron ki zindage me bhetri lani ki is zerye sy koshish he is ka behtreen or ala tareen istemal hy.to yad rakhye k ap bhi mind power ka istemal kern.lekin khud apni zindagi ko kamyabiyo se bherpor guzarny k leye.werna sarkon per tamsha ger to ja ba ja mil hi jaty hen.

[NOTE] 
mozo ye khasa taweel hy.shyad perhny waly borayat ka shikar ho jaen.bheahl ilmi zeror hy.jahan tak mind power k mukhtalif tareqon ki bat hy.wo to me batata hi rehta ho.or silsila jari bhi rahy ga.yahan maqsad mind power ka khulasa bayan kerna tha.likhny k leye shyad zehan me pori kitab mojod hy.lekin wo kitab hi me baten ho to zada munasib hy.koi bat jo janna chahen,is hawaly se zeror agha karen. SHUKREYA,

6 comments:

  1. konsa group hai ap ka

    ReplyDelete
  2. Main Hypnotism means Mind power seekhna chahta hun and kindly tell me Sir k kese seekha jae ise.

    ReplyDelete
  3. Wo sab kch to apni jaga k kis ne likha hy r kis ne copy kya hy ye sb kuch likha hua crf select all kr k he kyon nazar aya ??

    ReplyDelete
  4. me aap ki madad ka talabgar hu

    ReplyDelete
  5. me Jo bhi yaad karta hu bhool jata hu me chahta hu kind bhale se mujhe 20-26 bar likhne yaa parne she yaad ho lek in me us ko bhoolu na jiski wajah she meri tarakki or parai bhi ruk gai hai or me bahut pareshan hu or aapki madad ka talabgar hu

    ReplyDelete