Sunday 10 March 2013

Jism e Misali AURA


Bemari udasi ya depression zindagi me tarah tarah ki rukawaten bechani ,iztrab.ghutan .ghabrahat gerz key pareshaniyo key jis qader bhi rop or rang hen.us ki bunyadi waja jisim e misali ya aura ka sahi na hona ya aura me mojod chakras me kasafato key anbar hoty hen.Aura ko insan ka double bhi kehty hen.ya nori jisim bhi kaha jata hey.mazeed bhi is
key boht se or nam hen.
insani jisim key sath jo roh ka pert sab se pehly jura ya chipka hoa hoata hey.wo aura hi hota hey.yani roh se aney wali her tawanai pehly aura tak ati hey.phir jisim tak ati hey.lekin ager aura ki halat sahi na ho ya aura kamzor ho to ye aney wali tawanai ko sahi tor wusol nahi ker pata.jab key jisim insani key leye zehani jismani sehat key leye in tawanaiyo ka baham mutawatir jisim tak rasta clear hona zerori hey.werna aney wali tawanaya jo roh se her pal arahi hoti hen.aura key kamzor honey key sabab zaya hona shuro ho jati hen.or ye bunyadi ek waja hoti hey.bemari ya depression ki.jo nazer nahi ati .lekin ek atal haqeqat hey.ek sawal ye hey key jismani ya zehani sehat key hawaley se aura key kamzor honey ki waja samajh ati hey.lekin baqi zindagi key mamlat me ye kis tarah rukawat banta hey.ager ek shakhs musalsal bemar hey,ya depression me hey.to esa shakhs ye bat achi tarah janta hey key in wujohat ki bina per kis tarah tezi se us ki salahiyato ko zang lagna shuro ho jata hey.
dosri waja zindagi key deger kamo me nakami ki ye hey.key her insan ko sirf sehat key leye roh se tawanai nahi chaheye hoti.bal key roh ki ye tawanaeya insan key sabhi kamo me us ki madad kerti hen.ye tawanai be panha zahanat apney ander rakhti he.
ek dosra sawal ye hey key aura ko kis tarah mazbot kiya jaey key ye sahi manio me roh se hama waqt aney wali tawanai ko hasil kerney key qabil ho jaey.ya aura sahi manio me goya bedar ho jaey.is sawal ka ek wazhey matlab ye samney araha hey key goya aura ki bhi koi giza hey.jis key bal per ye na sirf bedar hona shuro ker deta hey.bal key key inthai tawana or taqatwer hona shuro ho jata hey.
is ka jawab ye hi hey key ji bilkul aura ki giza bhi hey.jo esy ek tawel arsey na dejaey.to ye jis shakhs key jisim ka hisa hota hey,us se bemareyo or nakamiyo ki sorat me goya apny bhoka rakhney ka badla zeror le leta hey.
islam ney jo namaz ,roza ,or tilawat e quran ki terghib de hey.in se bila shuba hoqoq e abdeyat ada hoty hen.lekin asal me ye hi is aura ki awal khorak bhi hey.jis se ham aj key zada ter musalman esy is ki khorak na de ker esy bhoka rakhty hen.
ager ek musalman kam az kam fraiz ki had tak hi sahi lekin ibdat ka mamol rakhey.to ek taraf ibadat ho gi.to dosri taraf ap key aura ko us ki khorak baham milti rahey gi.phir jo shakhs jis qader chahe ibadat zikir o azkar key zerye isey zada se zada taqatwer bana sakta hey.ibadat key ilawa sans ki mashqen or maraqba bhi is ki khorak hi me shamil hen.
jab ek arsey tak in mamolat per amal kiya jaey to aura bedar honey lagta hey.akser ye asey shakhs per khud ko zahir ker key bhi apni bedari se agha ker raha hota hey.goya key ap ka shukreya ada ker raha ho.
jab mazeed is me roh ki tawanai aney lagti hey.to jisim ki qowat e mudafeat berh jati hey.bemariya kam se kam hamla kerti hen.depression ki jagha anjani khushi her waqt sath rehney lagti hey.khusyan ander se photti hen.himat or hosla berh jata hey.shaor or agahi me izafa hojata hey.esy logo me dosro key leye bhi shifa yabi deney ki khaseyat peda hojati hey.esy khwaten o hazrat ki ulad jo is doran peda hoi ho am bacho se zada zahanat rakhny wali ho gi.khud esy shakhs ki apni zahanat boht berh jati hey.log esy shakhs key pas bethney me khushi mehsos kerney lagty hen.apney mamlat me an jani lkashish key sabab is se mashwara kerty hen.
gherz key jab kisi bhi shakhs ka aura ya double jisim bedar ho jaey.to her tarah ki taraqi key rasty az khud khulna shuro ker dety hen.Aura ya aura ki tawanaiyan gher mehsos andaz se us ki madad keti hen.or esa roh ki la zawal tawanai key sabab hota hey.jo ba heseyat insan her ek me mojod hey.sirf is se agha hona or is se kam leney ka dhang ana chaheye.yad rakheye aura ki bedari ap ko der der ki thokery khaney se bachati hey.sirf is key leye khud apney ander jhankney ki zerorat hey.or is ka khoj lagnaney ki zerorat hey.Apny aura ki bedari key leye faraiz key sath maraqba kejye.or in bato ki sachiyo ko khud mushahida kejye.